
Phair detay hain nazar
dil se bhula detay hain
Kya yunhi loog muhabbat
ka sila detay hain


Zindagi pyar se hai
pyar ki duniya tum ho
Mera dil meri khushi
meri tamanna tum ho


Fiza par
to asar hawaon ka hota hai
Mohabbat par asar adaon ka hota hai
Koi aise hi kisi ka diwana nahi hota
Kuch kasoor to nigahon ka hota hai


Dhoka
diya tha jab usne mujhe
Zindagi se mein naraz tha
Phir socha ki Dil se usse nikal dun
Magar woh dil bhi us paas tha


AarzoO
hai tumhe dur se dekhne ki
Kareeb aana nahi chahta
Tamanna nahi tumhe paane ki
Magar khona bhi nahi chahta


Ahl-e-dil yoonhi nibha lete hai
dard seene may chupa lete hai
Apni aankho Ko banakar yeh zubaan
Kitne afsaane suna lete hai
Jalte mausam may bhi yeh deewane
Kuch hasin phool khila lete hai
Jin ko jeena hai mohabbat ke liye
Apni hasti ko mita dete hai

Nighahein tu buhat milti hay husn waloon ki
Magar rona tu is baat ka hay ke dil dil se nahi miltey

Tumhara naam likhey ki ijazat chhin gaye jab se
Koi bhi naam likhta hoo ankhein bheeg jati hay

Zara na mom howa pyar ki sararat Se
chatak ke tot gaya dil sakht aisa tha

Hoti nahi kabool duwa tark-e-ishq ki
Dil chahta he na ho tu dua may asar kahan

Dekha hay jab se os ko osi ka khayal hay
Chehra woh aam sa hay magar be misaal hay

Yun tu pathar ki bhi takdeer badal sakti hay
Shart yeh hay ke osay pyar se tarasha jaye

Yaad rakho tu dil ke pass hay hum
Bhool jaao tu fasle hay buhat

Kabhi acha bura socha nahi
Mohabbat akal ka soda nahi
Sirat-e-ishq per mur kar na dekho
Palatney ka koi rasta nahi

Raz-e-mohabbat kehne walay loog tu lakhoon miltey hay
Raz-e-mohabbat rakhney wala hum sa dekha ho tu kaho

Zindagi bhar saath dene ki kasam khaoo tum
May nay dekha hay saaye ko bhi judaa hote

Kasam khuda ki aqeedat hay
Dayaar-e-dil may badra ahtraam hay tera

Rasta tha khatin dhoop may shidat bhi buhat thi
Lekin is zalim se mohabbat bhi buhat thi

Teri yadoo ke diye jab kabhi jal jatey hay
Hum khayaloon may buhat door nikal jatay hay

Kisi ko ghar se nikaltey he mill gaye manzil
Koi umer bhar hamarey saath raha

Umer bhar saath nibhanay ke kasam kha mujhey se
Ya nikal ja mere dil se khayaloon ki tarha

Hum kisi se na miley tujhe se milne ke baad
Dil may utri na koi zaat teri zaat ke baad

Zindagi dard se ibadat hay zindagi se khafa na hono
Ek tumhi ko khuda se manga hay tum kabhi bewafa na hona

Itna kareeb aao ke jee bhar ke dekh lo
Shayad ke phir milo tu zaoke nazar na hoo

Kisi ko apne amal ka jawab kya dete
Sawaal sarey galat they jawab kya dete

Laboo pe inkaar
hai tu kya....?
Ankhoon mein ikraar saaf hai
Piyar chupana gunah hai
Par tera yeh gunaah bhi maaf haa

Piyar tu hum kar chukey
Izahaar se dartey hai
Izhaar bhi kar lete per
Inkaar se dartey hai

Hamay maloom hain hum apke kabil nahi
Lekin un se ja kar pochiyeh jinhay hum hasil nahi

Nahi keh sakta ke meri har saans may tum hoo
Kyun ke meri saans ruk jati hay tujhey dekhtey hi

Itni haseen zindagi pehle kabhi na thi
Lab per ter tumhari bandagi pehley kabhi na thi
Hai sab kamaal apke chehrey ko dekh kar
Apni bhi yeh dewangi pehle kabhi na thi

A
khuda tere darbaar may fariyaad karta hoo
Rakhna salamat jisey may piyar karta hoo
Next |
 |

Only
for you....( |
|
) |
|