

Ager tumse koi poochay
ke meri zindagi kya hai
Hateli per zara si
khaak rakhna aur ura dena


Sitam dekhtay hain
karam dekhtay hain
Jo kismat dekhaati hai
hum dekhtay hian


Zaroori to nahi ke
jeene ke liye sahaarey hoo
Zaroori to nahi ke hum jinke hain woh bhi hamare hoo
Kuch kashtiyan doob bhi to jaaya karti hai
Zaroori nahin ke har kashti ke liye kinare hoo


Mainay khuda se duaa
mangi dua may maut mangi
Khuda ne kaha may tujhey maut donga par
Uska kya hoga jis nay teri zindagi mangi


Tum bin Kahi qarar na
aaye to may kya karoo
Har pal teri yaad sataaye to may kya Karo
Sharab choona mere liye haraam Hai
Lakin teri nigah Pilaye to may kya karo
Surat may apni Bhool gaya tujh ko dekh kar
Her Aayney may tu nazar aaye to May kya Karo


App to dushman ko bhi
pakeeza saza detey hai
haath uthatey nahi nazro sain gira detey hai

Umer
itni tu ata kar mere fun ko khaliq
Mera dushman mere marne ki khabar ko tarsey

Andar lagi thi aag magar be khabar they loog
Jaltey hoye makan ke bahir dhuwaan na tha

Hamari zaat ke jungle main ek aag lagi hay
Bhuja na paao tu jalne ka hausla rakhna

Himmat hay tu paida kar firdose bari apna
Mangi hoye jannat se dozak ka azaab acha

Jiyo tu aise jiyo zindagi ko rashk aaye
Maro tu maut kahey koon mar gaya yaroo

May apne dostoon ko dil may yun abad rakhta hoo
Buri batein bhula deta hoo achi yaad rakhta hoo

Yehi hay na tumhay hum se bichad janay ki jaldi
Kabhi milna tumharey maslay ka hal nikalay gay

Farishta mujhey ko kehne se meri toheen hoti
Hay may masjood-e-malaik hoo mujhey insaan he rehne
do

Hamay andaaza rehta hay hamesha dost dushman ka
Nishani yaad rakhna hay nishani yaad rakhte hay

Detey hay ujalay mere sajdoon ko gawahi
May chup chup ke andheroon may ibadat nahi karta

Humne roti hoye ankhoon ko hasaya hay sadaa
Is se behtar tu ibadat nahi hogi humse

Jiss nagri may hum rehtey hay pathar geet sunatey
hay
Bahar itni sard hawa hay ansoon tuk jum jatey hay

Sabar karna sakht mushkil hay tarapna sehal hay
Apne buss ka kaam kar leta hoo aasaan dekh kar

Makam hay shukar hay anjam khuda ke haath hay rozi
Agar yeh huq bhi banday ko diya hota tu kya hota

May sab ke pass ho mere kareeb koi nahi
Tamam sheher may mujhe sa gareeb koi nahi

Kat kar meri zubaan kar diya khamosh mujhey
Bekhabar ko nahi maloom ke mann bolta hay

Zarorat tor deti hay garoor-e- be niyazi ko
Na hoti koi majbori tu har banda khuda hota

Auroo ke liye pyar ka jazbaa nahi jin may
Woh loog kabhi pyar ke kabil nahi hotey

Nahi sajdey kiye humne shahoo ki chokhat per
Hamay jitni zarorat hoti hay khuda se maang lete hay

Mere gurbat ne uraya hay mere fun ka mazak
Teri dolat ne tere aib chupa rakhey hay

Is ka milna he mukadar may nahi tha
Warna humne kya kuch nahi khoya isey panay ke liye

May khush naseeb ho mere ma hayyat hay
Rehtey hay mere saath duaoo ke farishte

Jab tuk bika na tha kisi ko pata na tha
Tune khareed kar anmool kar diya mujhe ko

Adam ke kisi roop ki tehkeer na karna
Phirta hay zamanay may khuda bhase badal kar

Chiryoon se kaho shakhe-e-nashimi se na utrey
Is door ka her shaks akaboo ki tarha hay
Jiss shaks ko kehtey hay gunhay gaar sabhi loog
Woh shaks tu mazhab ki kitaboo ki tarha hay