Meri
Soch
Mere andar kuch bhikra howa hay kuch dino se
Tumhay kaise batao kya howa hay kuch dino se
May jalti dhoop shaano per uthaye phir raha hoo
Mera sayaa buhat phaila howa hay kuch dino se
Samandar ban kar is ki hifazat kar raha hoon
Kinarey pe koi soyaa howa hay kuch dino se
Kisi ki yaad may ankhein kahani likh rahi hay
Koi mujhe se bichdra howa hay kuch dino se
Kareeb itna woh kuch dino se mere aah gaya
Ke is ka rabtaa tot gaya hay kuch dino se
Mohabbat tu sikha deti hay adab-e-musafat
Magar woh shaks jo bhatka howa hay kuch dino se
May apne khuwaab ankhoon may liye phirta hoon dostoon
Mera chehra buhat utra howa hay kuch dino se dostoon....

Abhi
Kuch Waqt Baqi Hai
Ek kaam honay may abhi kuch waqt baqi hai
Hamay badnaam honay may abhi kuch waqt baqi hai
Do ghari tu ruko hamari nazar ke samnay
Subha ko shaam honay may abhi kuch waqt baqi hai
Naya zakhm na dena pehle hi buhat ziyada hai
In ke araam honay may abhi kuch waqt baqi hai
Tanhai ki wastiyoon may gum ke saaye phail gaye
Inhay benaam honay may kuch waqt baqi hai
Waqt-e-rukhsat jo ansoon bahey in ka hisaab nahi
Hamay har naam honay may abhi kuch waqt baqi hai
Dosti kii ulfat bhi tum nahi seekh saktey a dost
Noon ko laam honay may abhi kuch waqt baqi hai

Apne
Dukh
Jab loog he jazboo ki taukeer nahi kartey
Hum koi dukh apna tehreer nahi kartey
Dil cheer jata hay lehjay ka yeh rokha pun
Karti hay zuban woh kuch jo teer nahi kartey
Mausam jab uksaye jab chahay chalay ana
Hum raat ko darwazaa zanjeer nahi kartey
Likhtey hay woh kuch jo her ek per guzarti hay
Pariyoon ki kahani hum tehreer nahi kartey
Do gaz hi zameen sab ka jab muskun hay
Hum koi makan apna tameer nahi kartey

Jiss
Ka Darr Tha
Her ek nay kaha a musafir
Na chal is raah may
Yahan kante hay buhat
Yahan dukh hay buhat
Per dil na mana
Hazaaroon soos hay dil may
Apni kahani batlaye kaise
Ek dar ka kanta chubha hay dil may
Chupatey phirtey hay hum khud hi ko
Akhir wohi howa na jiss ka dar tha ....
 |
Back |

Only
for you....( |
|
) |
|