Jab kabhi khuwab ki umeed bandha karti
hai
Neend ankhoon may pareshaan karti hai
Yaad rakhna he mohabbat may bari baat nahi
Bhol jana bhi bari baat howa karti hai

Karonga kya jo mohabbat may hogaya nakaam
Mujhey tu aur koi kaam bhi nahi ata

Koon kehta hay mohabbat ke zubaan hoti hai
Yeh haqiqat tu nighahoon se bayaan hoti hai

Qadam qadam pe ke naye khushi tum ko miley
Andheri raah may mill jaye roshni tumko
Meri dua hay khuda se ke kash lag jaye
Mere lamhoo ki zindagi tum ko

Aisa lagta hay zindagi tum hoo
Ajnabi kaise ajnabi tum hoo

Tum ko dekha tu mohabbat bhi samajh may aaye
Hum tu yeh baat zamanay se suna karte they

Dono jaha ko rushk ho mere naseeb per
Tum ek baar pyar se dekho agar mujhey

Yarab gum-e-hijra may itna tu kya hota
Ya dil diya hota ya gum na diya hota

Ishq karney ke bhi kuch adaab howa karte hai
Jagti ankhoo may bhi kuch khuwab howa karte hai
Her koi roo kar dikhaaye yeh zarori tu nahi
Khushk ankhoo may bhi sailaab howa karte hai

Tune kabhi parha nahi maine likha jo umer bhar
Maine kaha jo raat din tune kabhi suna nahi
Mere liye ek lafz jaan bhi hay jaha bhi
Aur tere nisaab may darj kahi wafa nahi

Yuk taraf dil pe qayamat karna
Muskurate hoye isey rukhsat karna
Koon chahay ga tumhay meri tarha
Ab kisi se tum na mohabat karna

Yeh din raat yeh lamhay mujhey achey lagtay hai
Tumhay socho tu sarey silsiley achey lagtay hai
Buhat door tuk chalna magar phir bhi wahin rehna
Mujhe tumse tumhi tuk faslay achey lagtay hai

Miley gi hum ko bhi apne naseeb ki khusiyaan
Bass intezaar hay ke kab yeh kamaal hona hai
Her ek shaks chalay ga hamari rah may
Mohabbatoon may hamay woh naam hona hai

Na koi khuwab na koi dost tha
Is mohabbat mien may akela tha

Ishq may tum kaha ke sachey hoo
Jo aziyat humne jheli thi

Chand se pochiyeh sitaroon se pochieyh
Dil kiya cheez hay dil waloon se pochiye

Ek nazar dekh lo aajaao kazaa se pehle
Tumse milne ki tamanna hay khuda se pehle

Zama badlay sama badlay mausam ki fizaa badlay
Agar may badloo tujhe se tu mujhe se mera khuda badlay

Har cheez bhool jana per itna yaad rakhna
May woh nahi ho jisay bhula ke tum jee sakoo
Hum piyar karte hain aap se
Par piyar ka izhaar na kar saakey
Is baat ko dil hi dil may dabaatey rahey
Per hontoon pe la na sakey
Hum se pochey koi mayyar-e-mohabbat kya
hai
Humne barsoo kisi ko khuda samjha hai

Teri
jhuki hoye nazar ghayal kar rahi hai dil
Tere piyar may saji hay mere jiwan ki manzil
Ab dair na karo ? utha do in nazroo ko
Dekhana sirf mujhey warna ghayal kar dogi logo ko

Mohabbat karna jurm nahi
hai kari yeh usool se
Khuda ne bhi mohabbat ki thi apne rasool se

Tere piyar may pagal hoye hum
Teri nazar se ghayal hoye hum
Dil ki baatien kagaz per utha kar
Teri waja se tu shayar hoye hum

Piyar ek ibadat hay isey badnaam mut karna
Tum piyar chahay jissey bhi karna
Per mazaak mut karna
 |
Back |
|1|2|3|4| |
Next |
 |

Only
for you....( |
|
) |
|