Palkoon
ke kinarey jo humne bhigo-e-he nahi
Tum yeh na samjho ke hum rooye he nahi
Woh poochtey hai ke khawaboon may kya dekhte ho
Hum hai ke ek muddat se soye he nahi

Har mor
par mili ghum ki parchhaiyaan
Zindagi se samjhota karne ki aadat hogaye
Jaantey thay keh nahi hosaktey kabhi tum hamare
Phir bhi khuda se tujhey maangney ki aadat hogayee

Dosti
achhi ho to rang laati hai
Dosti gehri ho to sabko bhaati hai
Dosti nadaan ho to toot jaati hai
Aur agar dosti hum jaiso se ho to itihaas ban jaati hai

Laher
aati hai kinaare se palat jati hai
Yaad aati hai aur dil mein simat jaati hai
Laher aur yaad mein farq sirf itna hai ki
Laher bewaqt aur yaad har waqt aati hai

Lamho
lamho per khwaab likhoonga
Apni zindagi per kitaab likhoonga
Aapki gardan to phoolon ki tehni
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga

Ashko ko
na kabhi aankhon ka pani kehna
Balke
is ko gham ki kahani kehna
Jis ki khooshboo ho sirf ek raat ke liye,
Us
ko na raat ki rani kehna

Aankho
pe ghamoun ke pehre hai zakham jigar ke gehre hai
Faryad kare to kis se kare dunya wale to behre hai

Manzil
ko paane ke liye sahil ko paar karna parta hai
Mohabbat karne ke liye dilo jaan qurban karna parta hai

Jal jaao
kari dhoop may khamoshi se lekin
Apno se kabhi ......saya-e-deevar na maango

Jangal
may rehta hoon kaanto pe sota hoon
Jab yaad teri sati hai jee bhar ke rota hoon

Udhaas
is qadar tha............... soya na raat bhar
Palkon se likh raha tha naam tera aasmaan par

Ham
kehte kehte haar gaye aur dunya ne kuch na suna
Jab dunya ne israar kiya hum apna dard suna na sake

Aye
khuda mujhe thori si zindagi de
Udhaas mere janaze se jaa raha hai koi

Agar
kuch thi to bas yeh thi tamanna aakhri apni
Ke tum sahil pe hote aur kashti doobti apni

Mere
janaze ko dekhne saara jahan nikla
Magar wo na nikle jin ke liye mera janaza nikla

Sar ko
jhukaaoge to pathar bhi devta hojaaega
Mat use itna chahoo ke wo bewafaa hojaaega

Ham se
hoi bhool ke aap ke mehfil may aah bethe
Zameen ke khak the aasmaan se dil laga bethe

Aana
meri qabar pe do phool charha dena
Agar rona na aae to gham may thora muskura dena

 |
Back |
|1|2|3|4| |
Next |
 |

Only
for you....( |
|
) |
|