Tumharey jeet janay se ziyada
Hamari haar ka charcha hay

Bass ek shaam bari khamoshi se tot gaye
Hamay jo maan teri dosti may rehta tha woh sab tot gaya

Kabhi kabhi tu woh itna khayal rakhtey hay
Zara zara se baat tammanna sanmbhaal rakhtey hay

Hamay maloom hay jeet bil akhir hamari hay
So hum dukti shikastoon per dil thora nahi karte

Tum asmaa ke bulandi se jald laut aaoo
Mujhey zameen ke masayil pe kuch baat karni hay

Ana ke qaid se nikle muqabla tu karey
Woh mera saath nibhanay ka hausla tu karey
Kabhi na tot ne wala hasaar ban jaao
Woh meri zaat may rehne ka faisla tu karey
May is ko sonp do apni yeh muntazir ankhein
Woh meri khooj may janay ka taskara tu karey

Najanay kiun hamay tum per itna bharosa hay
Khayal rakhna ke qayam yeh aitbaar rahey

Baad mudat ke osay dekha dostoon
Woh zara bhi nahi badla dostoo
Khush na tha mujhe se bichad kar woh bhi
Os ke chehre pe likha tha dostoo

Gurbatey hotey hoye bhi fasloon may qaid hay
Kitni azadi se hum apni hadoon may qaid hay

Hum tu aseer khuwab they tabeer jo bhi thi
Dewaar per likhi hoye tehreer jo bhi thi
Jo samnay hay sab apne kiye ka phal
Takdeer ki choriyeh takdeer jo bhi thi

Yeh soch kar ke kabhi tu jawab aaye ga
May os ke dar pe khara reh gaya sada kar ke
Khud apni zaat per aitbaar nahi howa
A dostoon yun tu mujhey kya mila wafa kar ke

Barey barey sapne nahi boye may nay apne angan may
Chota sa ek ghar hay mera choti si ek jannat hay

Isey ganwaan ke may khud se bichad gaya talib
Woh ek shaks tha har pal ainaa mera

Ek mudat se udasi ko basa rakha hay
Ee dil ki basti abhi barbaad nahi meri

Aaj ke door may umeed wafa kiss se rakhey
Dhoop may betha hay khud pair laganay wala

Na dosti se rahey na dushmani se rahey
Hamay tamamam giley apni agahi se rahey
Woh pass aaye tu mozo guftugu na miley
Woh laut jaye tu her guftugu osi se rahey

Tum itna jo muskura rahey ho
Kya gum hay jiss ko chupa rahey hoo

Baat keh de jo tere dil may hay
Baat ko agar magar na bana
Tera apna yaqeen na uth jaye
Khud ko itna mautabir na bana

Hum tu chup hogaye magar
Dair tum boltey rahey ansoon
Aankh apni jaga rahi
Dil apni jaga sahey ansoo

Sitam gar waqt ka chehra buhat hay
Jisey dekho wahin tanha buhat hay
Tumhey bari wehshat se hogi
Mere angan may sannata buhat hay

Mujhey is admi ko minnatey kar ke manana tha
Isey bhi dair hoti thi mujhey bhi door jana tha
Nibhatey kiss tarha ek dosrey ki dosti
Zameen per is ka ghar tha chand per os ka thikana

Ek shart-e-safar bana bethey
behtey pani per ghar bana bethey
Shook urne ka is qadar dekho
loog kagaz ke par bana bethey

Ghar ki tameer chahay jaisi bhi hoo
Is may ronay ki jaga rakhna

Jiss ki ankhey mujhey andar se parh sakti hoo
Koi chera tu mujhey seher may aisa ladoo
 |
Back |
|1|2|3|4| |
Next |
 |